ga saku aapka nagma, par woh saaz kaha se lau, suna saku kuch aapko, par woh andaz kaha se lau, yun to chaand ki tareef karna aasan hai, par kar sake to aapki tareef woh alfaaz kaha se lau.
Khuda ne mujse kaha bande dosti na kar dosti mein tu deewana ho jayega. Maine kaha ae khuda kabhi zamin pe aake MERE YAAR se mil, TU khud hi uska diwana ho jayega
Raste par mat baitho hawa tang karegi, Gujare hue lamhon ki saja tang karegi, Kisi ko mat lao dil ke itne kareeb, uske jane par uski har ek ada tang karegi.
Mohabbat me lakhon zakham khaye humne* *afsos unhe hum par aitbar nahi.* *Mat pucho kya guzarti hai is dil par* *jab vo kehte hai hum unke liye kuch bhi nahin.*