vada utnaa hi karo jitana nibha sakte ho Khwaab pura jo na ho woh na dikhana mujh ko apne rishte ki nazaakat ka bharam rakh lena main to aashiq hoon dewaana na bana mujh ko....
Aasman ko neend aye to sulaye kahan..Dharti ko maut aye to dafnaye kahan..sager main lehr ae to chupain kahan..Hamain yaad ap ki aye to hum jain kahan....!
Behate ansu ki kabhi juban nahi hoti. Labzo pe mahobbat bayan nahi hoti. Agar mile kisi ka pyar to kadar kijiyega. Kyo ki Kismat har kisi pe maherban nahi hoti
Ajnbi se guftgu kya ki kyamat ho gayi or sare sahar me ye khabar aam ho gayi!Ab tumhare bina1pal b karar muskil hai,kyuki dosti ka irada tha or mohbbat ho gayi
Bahut tamana thi kisi ko apna banane ki, Bahut tamana thi kisi ka ho jane ki, Pr kya pta tha jis ke hum hona chahte he, Unhe adat hi nhi kisi ko apna bnane ki.
Wo dil,dil nahin hota,jis mein pyar nahin hota, Wo pyar,pyar nahin hota,jo chahat mein bekarar nahin hota Thoda tadapna.thoda machalna,tou hai mohabbat ki ada, Jo in raahon se na guzre, wo yaar,yaar nahin hota.