Honto pe tumhare hamara naam tak na aaye mein milne aau par tu bahar na aaye anjaan hai hamare pyar se vo ab tak ya shayad hum jaiso pe unko taras na aaye
In aankhonme aasoo aaye na hote, Agar tum pichhe mudkar muskuraye na hote, Tumhare jaane ke baad ye gam hota hai, kaash tum zindagi me aayehi na hote !!!
Hum unhe apna banana ki baat karte hai.woh hai ke zamane ki baaat karte hai. Hum kyu na ho unki sadgi pe fida ,hume yu behlane ki baat karte hai.log chand taro ki baat karte hai to kare,hum to unhe har pal chahne ki baat karte hai.
Kaash aisa ho ki tumko tumse chura loon, waqt ko rok kar waqt se ek din chura loon, tum paas ho to is raat se ek raat chura loon, tum saath ho to is jahan se ye jahan chura loon.