Chaahat teri, zehen pe chhati hi jaa rahi, Surat teri dilon me basti hi jaa rahi, Tera pyar mile ab, ya tera gham mile muze, aadat tere khayaal ki badhti hi jaa rahi..
Aap chahte hain hum se zindagi bhar ka dostana aur hum to kucch aur hi umeed lagaye baithe they Zindagi bhar ki dosti nibhane ka vaada hai hamara par hum to aapko jannat mein bhi milne ka khwab sajaye baithe they
Rehne de aasman, jami ki talash kar, sab kuch yahi he, na kahi aur talash kar, har arzoo puri ho to jine ka kya maja, jine k liye bas 1 kami ki talash kar.
Yun durr rehkar duriyon ko badaya nahi karte, Apne deewano ko sataya nahi karte, Har waqt bas jise tumhara khyal ho, Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte.
main akela kaha tera wajood ka saya sath hai.jawan raat mein chand chandni ke sath hai.Duriya kaha dur kar pati hai hume. sapno mein hi sahi tere hathon mein haath hai.
Nazrein mile ek zamaana ho gayaa…. Aisa lagta hai apna bhi koi begaana ho gayaa…. Wo to chale gaye humse door…. Lekin mushkil is dil ko samjhaana ho gayaa