Itna kuch khoya ki hume paana na aaya, Pyar kiya to jatana na aaya. Aa gaye is dil mein pehli hi nazar mein who, Kasoor humara tha jo hume unke dil mein samana na aaya.
Sabhi ko sabkuch nahi milta, Nadi ki har lahro ko sahil nahi milta, Ye dilwalo ki duniya bhi hai ajeeb Kisi se Dil nahi milta to Koi Dil se nahi milta!
Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.
Dil mai hai dard hazar... Magar hum se hai sab anjan.... kuch log hai khas jin se hum hans lete hai... or kuch log hai mere dil ke paas jin se hum dard lete hai.............