Sunte hai ki mil jati hai har cheez dua se Ik roz tujhe bhi mang kar dekhenge khuda se Duniya bhi mili hai ghame duniya bhi mila hai Woh kyun nahi milta jise manga tha khuda se
mita denge yeh duri, yeh fasle sabhi! kahogi ek baar ki milo aa ke kabhi! na honge door phir tum se is zindagi main! khula rakho tum dar apna, hum atay hain abhi!
Yaadon ki parchayee mein ab to aaye tera hi cehra Tu abhi tak iss baat se hai anjaan main hoon deewana tera Izhaar-e-mohabaat karne to bahot baar socha maine Par har baar tere hi aks ne roka hai rastaa mera
Kaash ek kadam hum bhi unke saath chal paate Kaash unke khwabo mai hum bhi bas jaate Jo chale gaye hamare sapne todke Kaash unke sapno ko hum ko hum zindagi de paate