Logoon nay apna hunar dekhaya bhee bohat hai Ja ja kar main nay manaya bhee bohat hai Sach pochoo too piyara bhee bohat lagta hai dil ko Wo shks jis nay dil ko dukhaya bhee bohat hai
Aansoo har kisi ke liye bahaye nahi jaate, Jo DIL mein baste hai Ta-umar bhulaye nahi jaate, Zamana kahta hai wo BEWAFA hai, Agar BEWAFA wo hote to DIL mein basaye nahi jaate
Ga saku nagma,wo saaz kaha se lau, Suna saku kuch aapko wo andaz kaha se lau, Yu to chand ki tarif karna aasan hai, Kar saku aapki tarif wo alfaj kaha se lau,
Tumhara Naam likh kr mitana bhool jata hoon.. Tumhain Jab yaad krta hoon bulana bhool jata hoon.. Bohat c aysi batain hain jo mary DIL main rakti hain.. Mager jab tum sy milta hoon sunana bhool jata hoon.. Tumhary Baad ab her pal bari mushkil sy Katta hai.. Main aksar tum ko Khawabon main batana bholl jata hoon.. Main her shaam kahta hoon k tum bhool gaon ga.. Mager jab subha hoti hai to Bholana bhool jata hoon.........