Dilse teri yaad na jaye to main kya karu..tasvir me tu hi tu aaye to main kya karu..lene ko to le aau tumhe khwabo me,par nind hi na aye to main kya karu.
Pyaar Koi Cheez Nahi, Jise Mehnat Se Haasil Kiya Ja Sake... Pyaar Koi Mukaddar Nahi, Jise Taqdeer Pe Chhoda Ja Sake... Pyaar Ek Yaqeen Hai, Bharosa Hai... Lekin Yeh Itna Aasaan Nahi, K Kisi Pe Bhi Kiya Jaa Sake.......
Saamne na ho to tarasti hain aankhein,Yaad me teri barasti hain aankhein,Mere liye nahi inke liye hi aa jaao,Aap ka bepanaah intezaar karti hain ye aankhein.
Tanhayi le jati hai jaha tak yaad tumhari,Wahi se shuru hoti hai zindgi humari,Nahi socha tha chahenge tume is qadar,Par ab to ban gaye ho tum kismat humari.
Nazrein mile ek zamaana ho gayaa…. Aisa lagta hai apna bhi koi begaana ho gayaa…. Wo to chale gaye humse door…. Lekin mushkil is dil ko samjhaana ho gayaa