uski yaad mein dekho hum kya karte hain bikhri hui zindagi mein deewaronse baatein karte hain dekha usse kal maine par woh ek chalava nikla meri kismat dekho jo mera tha woh paraya nikla kehte hai ki ishq mein toh lut jana chahiye par jab yaar hi na mile toh kispe mita jaye
Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.
Bemausam Barsat Aaj Mujhse Kuch Keh Gayi,In Baaho Me Aaj Phir Uski Kami Reh Gayi,Ek Pal Ke Liye Use Gale Lagaya Mene,Aur Phir Uski Yaad Aansu Bankar Beh Gayi.