Apno ke situm hamse batlaye nahi jate Ye hadse woh hai jo samjhaye nahi jate Ek umr ki kosish se bhula di hai teri yaad Lekin teri yaad ke saye nahi jate
Aksar Ati Nahi Woh Sham, Jiska Hota Hai Intezar; Aksar Fizain Loot Leti Hai, Khilti Kaliyon ka Khumar; Aksar Kho Jate Hain Log, Jinse Ho Jata Hai Pyar.
Haseen chehre par, Kabhi aetbaar na karna, Tod dete hai dil, Kabhi pyaar na karna, Hai guzarish doston se meri, Mar jaoge woh na aayenge, Kabhi intezaar na karna......
Tum ko chahtey hoey bhi bhool jana acha laga... Ansoon ko chupa kar muskurana acha laga... Tum ajnabi they meray liey mager apna jaan kar acha laga... Pehchan to ik pal ki thi mager sadiyon se jaan kar acha laga.......
Barishon k mausam main tumhain yaad karney ki adat purani hai ab ki baar socha hai adatain badal dalain phir khayal aya k.... adatain badalney se barishain nahin rukti....