Yeh din yeh raat yeh lamhay achay say lagtay hain.. Tumhain sochoon to saaray silsilay achay say lagtay hain… Bohat door tak chalna or phir bhi waheen rehna.. Humain tum say tum hi tak k Da-ayray achay say lagtay hain..
Pehle kabhi tanha na tha yeh dil kisi ki yaad me, Phir aaj kyu yeh tera naam pukare ja raha hai. Humne to sirf basaya tha tujhe is dil me, Phir aaj kyu yeh tujhe apna banaye ja raha hai.
Os ko bohat chaha magar woh mila hi nahi, LAkh koshish ki magar faasla mita hi nahi, Os ko zamaney ne majboor is qadar kr diya K , woh meri kisi sada per thehra hi nahi,