Jugnu ko kaid karke muskurya na karo, Roshni ki khatir kisi ko jalaya na karo, Dil pe sitam itne kyu karte ho ,yaad nahi karte to kamse kam yaad aye na karo
Jo dil me hai aankho k hawale nahi karna, Khud ko kabhi khwabo k hawale nahi karna. Is umar me khush fehmiya achi nahi hoti, Is umar ko wado k hawale nahi karna
Raat Gumsum Hai Magar Chan Khamosh Nahi, Kaise Keh Du Aaj Fir Hosh Nahi. Aisa Duba Teri Aakho Ki Gehrai Main, Haath Mein Jam Hai Magar Pine Ka Hosh Nahi.
Dekha jo woh jaam teri yaad aagayi...yeh shaam tere naam, teri yaad aagayi...Har koi Janata tha mujhe tere naam se...Pucha kisi ne naam, Teri yaad aagayi