Agar har chehre mein usika chehra nazar aata hain agar har baato par uski naam lete hain agar ise pyar kehte hain toh haan maine bhi kissi se pyar kiya tha..
Har phool ki ajab kahani hai, chup rehna bhi pyar ki nishani hai, kahin koi zakhm nai phir bhi kyun dard ka ehsas hai, lagta hai dil ka ek tukda aaj bhi uske paas hai.
Hum raat ki tanhai me tumhe awaaz diya karte hai, Aur sitaaron se aapka zikar kiya karte hai, Tum aao ya na aao, fir bhi Hum khwabo me aapka intezaar kiya karte hai.
Hum ne kisi ki yaad main rona hi chor diya Apni Zindagi ko talaash karna hi chor diya Sab beeti hui baatein bhula di hum ne Ab Dil main maazi basana chor diya Kaanton se bhar dete hain log daaman Hum ne Aangan main Phool khilana hi chor diya Kabhi na maangen ge kisi se bheek Mohabbat ki Is hi liye hum ne Pyaar karna hi chor diya.....
Bolti hai dosti, chup rehta hai pyar. Hasati hai dosti, rulata hai pyar. Milati hai dosti, juda karta hai pyar. Phir bhi kyun dosti chodkar log karte hain pyar??