Tum ko sochu toh sab silsile ache lagte hai Mujhe tumhare shaam-o-saher ache lagte hai Bahut dur tak jaana magar laut ana Mujhe tum se tumhi tak ke faasle ache lagte hai
Din sara yaadon me guzar jata hai,Phir bhi raat ko aapka hi khayaal aata hai... Kuch yaadein is kadar ban jaati hain ki,Aaine me bhi chehra apka nazar aata hai
Ikraar mein shabdon ki ehmiyat nahi hoti, Dil ke jazbaat ki awaaz nahi hoti, Aankhen bayaan kar deti hain dil ki daastan, Mohabbat lafzon ki mohtaaz nahi hoti!
Umra ki rah me insan badal jate hai, waqt ki aandhi me tufan badal jate hai, socha tumhe itna yaad na karu, lekin aankh band karte hi irade badal jate hai...