Ada unki aur deewane hum bane...wafa wo na kar sake aur bewafa hum bane...yu to hazaro the bheed me...shukriya unka, jo unki nazron k nishane hum bane.
Zindagi aapke bina adhuri hai, na jane q aapke mere beech me ye duri hai, sochta hu kabhi bhula du aapko ko, per aapki ek muskan meri bahut badi kamjori hai…
Jis shaam mein mere lab per aapka naam na aaye, Khuda kare ki kabhi aisi shaam na aaye, Ae jaane wafa yeh kabhi mumkin nahin ki, Afsaana likhoon aur aapka naam na aay
Mari Chahat tum sy alag kab hai.. Dil ki baat tum sy chuhpi kab hai.. Tum sath raho Dil main dharkan ki jaga.. Phir zindgi ko sansoun ki zarurt kab hai.......
Kya zamaana tha, ke hum roz mila karte thay, Raat bhar chaand ke humraaz phira karte thay, Dekh kar jo humein chup chaap guzar jate hai, Kabhi us shaks se hum pyaar kiya karte thay.
Hone the khel muqaddar ke ho gaye,hum tuti nau leke samanddar ke ho gaye,khushbu mere haanth ko chhukar chali gai,hum phol sabko baant kar patthar ke ho gaye.