Tujhe dekhe bina teri tasveer bana sakta hoon, tujhe jane bina tera haal bata sakta hoon, hai meri mohabbat mein itna dum, apni aankh ka aansoo teri aankh se gira sakta hoon....
Nigaho me aur koi pyaar ke kabil na raha,is kinare ka aur koi sahil na raha,chand jaisa yaar mila hume zameen par,asman ka chand bhi ab didar ke kabil na raha
Mitha sa dard dil me utha tha abhi abhi, kya tumne mujhe yaad kiya tha abhi abhi, tumse mile hue gujar gaya hai zamana, par aisa laga jaise tum mile mujhe abhi abhi.
Kuch pal ki khushi apke sath me thi,aisi koi lakeer hamare hath me thi,dur rehkar b apko yaad karte hai hum,koi bahut pyari si baat humari mulakat me thi.