Har ek manzar

Har ek manzar
Har ek manzar par udasi chaai hai,Chand ki roshni me bhi kuch kami aai hai,Akele achche the hum apne ashiyane me,jaane kyu lout kar phir aapki yad aayi hein.
  

Jan, 30 2012     157 chars (1 sms)     1104 views       Shayari > Love Shayari

more Love Shayari SMS Messages

Chot lagi dil par aur bikhar gaye hum,haath mein aaya jaam aur pee gaye hum,yaad aaya unka har wo toda vaada,aur unki har yaad mein fanaa ho gaye hum'.
Yaado mai hamari who bhi kohye honge. Khule aakho se kabhi who bi soye honge. Mana hasna hai ada gam chupane ki, par HASTE-HASTE kabhi who bhi roe honge?
Jb se tujhe dekha dil ko kahi aram nahi.mere hotho pe ik tere siva koi naam nahi.bas yaad tujhe karta hu,aur koi kam nahi.
Mohabbat ka matlab intzaar nahi hota, Har kisi ko dekhna pyar nahi hota, Yu to milta hai roz mohabbat-e-paigam, Pyar hai zindgi jo har baar nahi hota…….!
Mere mehbub Chale aao hum tume yad karte hai, Ye wo gunah hai jo hum baar-baar karte hai,Jalaake dilme hasrato ke chirag Aapke aane ka behad intezar karte hai
Kya zamana tha hum roz mila karte the Raat bhar chand ke hamrah chala karte the Dekh ke jo hame chup chap guzar jata hai Kabhi is saksh se hum pyar kiya karte the.
Ab Kisase Kahe Aur Kaun Sune Jo Haal Tumhare Baad Hua Is Jheel Si Ankho Me Ek Khwab Bahut Barbaad Hua.
Aap har manzil ko mushkil samajhte hain , Hum Aapko manzil samajhte hain , bada fark hai Aapke AuR Hamare nazariye mein , Aap hamein Sapna, AuR Hum Aapko Apna samajhte hain....
Main uski shakal ko dil se utar deti hoon…..kabhi kabhi tu main khud ko bhi mar deti hoon…..ye mera haq hai mai use dukh bhi doon….main chaht bhi tu use beshumar deti hoon.
khamoshi ikhtiyar kar lena,apne dil ko bkarar kar lena,zindigi ka asli dard lena ho to,kisi se be-inteh pyar kar lena.
Jab kabi tera dil ghabraye to lot ana,Agr tuje meri yad aye to lot ana,Kuch waqt acha guzra ha sath tumhare,Wo waqt yad aye to lot ana.
Zaruri nahi k jeene ka sahara ho,jise chaho wo hamara ho,dub jaye kashti hamari hame gam nahi,bas tamanna he ke dubne tak sath tumhara ho