Jo tune diya use har pal yaad karenge, Har pal tere milne ki Faryaad karenge . Chale aana jab kabhi khayal aaye MERA, Hum roz khuda se pehle tujhe yaad karenge.
Yaad hai teri aur zindagi mein gam hai Manzar hai judai ka aur aankhen bhi nam hain Tu aaye to dhadak jaaye, aa jaaye isme jaan Teri aarzoo hai, dil mein dhadkanen bhi kam hain
Royegi ye aankhe muskurane ke bad,Aayegi rat din dhal jane ke bad,Tum kabi na ruthna mujse ae YAAR,Sayad ye zindagi hi na ruth jaaye,Tumare ruth jane ke bad
Intejaar ka meetha darad diya hai tumne, Mujh par bada ehsan kiya hai tumne, Kambakth aaj kal hichkiyan bhi nahi aati, Jo soochoon ke abhi mujhe yaad Kiya hai tumne