Intejaar ka meetha darad diya hai tumne, Mujh par bada ehsan kiya hai tumne, Kambakth aaj kal hichkiyan bhi nahi aati, Jo soochoon ke abhi mujhe yaad Kiya hai tumne
Aa k meri kabr pe tune jo muskura diya, bijliyan chamak uthi sara badan jala diya. Jeete je na poocha haale dil kabi, ab aye ho poochne jab khaak me mila diya ?
Tohfa kya aaj tumhe mai yaar du, Bachhi chandd khushiya bhi tumhe apni vaar du, maangi thi jo uss khuda se tumhare liye, un sabhi duaon ka tujhe main uphaar du…
Teri kami mere dil ke kone mein chupa rakhi haiTeri yaad humne dil se laga rakhi hai Aa jaoge ek din mere Gareebkhane mein tum Issi ummeed mein palkein raahon pe bicha rakhi hai.