Shama kehti hai Mujhe banaya kisne,jis jis ke Haath lagi mujhe jalaya usne,wo shama kya jise koi jalane wala na ho,wo insan hi kya jise koi Chahne wala na ho
Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,sachi chahat to sada bezuban hoti hai.pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai....
Sunte hai ki mil jati hai har cheez dua se Ik roz tujhe bhi mang kar dekhenge khuda se Duniya bhi mili hai ghame duniya bhi mila hai Woh kyun nahi milta jise manga tha khuda se
Chehre ki har muskan ban jata hai koi, dil ki har dhadkan ban jata hai koi, phir kaise jiye zindagi uske bin, jab zindagi jine ki wajah ban jata hai koi..