Teri sabhi baatein baar baar yaad karna acha lagta hai..Tumhein khud mein mehsoos karna acha lagta hai..Dua hai bas yahi ke Khuda aapko humse juda na kare..Kyunke tera saanso ke nazdeek rehna acha lagta hai
Unko khabar hai mere tute armano ki,aaj jarurat padegi kanch ke pemano ki.khali na hone dena jaam yaro, varna fir se yaad aa jayegi gujre huve jamane ki.
Yeh Bhi Aadab Hamare Hain, Tumhain Kya Malum Hum Tumhain Jeet Ke Harey Hain, Tumhain Kya Malum Ek Tum Ho Ke Samajhte Nahi Hum Ko Apna Ek Hum Hain Ke Tumhare Hain, Tumhain Kya Maalum