Tum ko chahtey hoey bhi bhool jana acha laga... Ansoon ko chupa kar muskurana acha laga... Tum ajnabi they meray liey mager apna jaan kar acha laga... Pehchan to ik pal ki thi mager sadiyon se jaan kar acha laga.......
Chorh diya hamara sath to koi gam nahi. Bhul jayenge aap hume, bhulne wale hum nahi… Aapse mulakat na ho pai to koi baat nahi, aapki ek yaad mulakat se kum nahi
Rishte banane ke liye bas ek pal chahiye, Par unhe nibhane ke liye dil chahiye, Khelta to sagar bhi hai lehro se, Par unhe thaamne ke liye bhi saahil chahiye.
Meri duaon mai shamil hai aap is tarah,pholon mai hoti hai khushbo jis tarah,khuda aapki zindagi mai itni khushiyan de,dharti pe hoti hai barsaat jis tarah.
Dard Uththe he magar Aah nahi karte, Kon kahta he Hum Wafa nahi karte, Aakhir kyun nahi Bdalti Taqdeer Humari, Kya Aap bhi Hamare Haq mein Dua nahi karte
Shikayat he Tumse Par keh Nahi sakte,Bahut Dard chupa he Dilme lekin dikha nahi sakte,Apse mile bina jee Lenge Hum,Magar apko yaad kiye Bina reh Nahi Sakte.
Sari umar aankho mein ek sapna yaad raha,Sadiyaan beet gayi wo lamha yaad raha,Jaane kya baat hai aap mein,Sari mehfil bhul gaye bas wo pal yaad reh gaya.
Kahan Koi mila jis per dunya Luta daita... Har ek ne dhoka dya kis kis ko bhula daita... Apne dil ka dard dil mai daba rakha hai... Agar kerte bayan tu mehfil Rula daita.......
Raat bhar jagh kar hamne tera rasta dekha hamse mat poch in ankhon ne kia kya dekha ham bhi shayad kisi ankhon mai panah le letey is bhare shahar mai ek chehra na tum sa dekh