Main uski shakal ko dil se utar deti hoon…..kabhi kabhi tu main khud ko bhi mar deti hoon…..ye mera haq hai mai use dukh bhi doon….main chaht bhi tu use beshumar deti hoon.
Safar mohabt ka dushwar kitna hai Magr dekhna hai k koi wafadar kitna hai Yahi soch k usay kabi manga nahi maine Usay prakhna hay k wo mera talbgar kitna hai
Chahne se koi cheez apni nahi hoti, har muskurahat khushi nahi hoti, kehna to chahte hai bohot kuch apse, magar kabhi alfaaz to kabhi zubaan saath nahi hoti..
Har baat kehkar samjayi nahi jati, har cheez zindagi main paayi nahi jati, yu to har waqt yaad karte hai aap ko, par yaadein kisi ko dikhayi nahi jaati