Wo ruthe is kadar ki manaya na gaya, Durr itne ho gaye ki pass bulaya na gaya, Dil to dil tha samundar ka sahil nahi, Likh diya naam to fir mitaya na gaya.
Banane ko to jahan bhi bana leta hu, Ek uski justju hai jo khud ko bhula deta hu, Wo aayenge nahi ye yakin ho chala hai, Ek aur mukaddar is diye sa jala hai, Phir bhi unke laut aane ka imkan baaki hai, Dil me ummid aur thodi si jaan baaki hai.