Hum ne tanhai me zanzeer se baaten ki hai,apni soi huwi taqdeer se baate ki hai,tere didar ki kya tamanna hogi, zindagi bhar teri tasweer se baaten ki hai.
Ajnbi se guftgu kya ki kyamat ho gayi or sare sahar me ye khabar aam ho gayi!Ab tumhare bina1pal b karar muskil hai,kyuki dosti ka irada tha or mohbbat ho gayi
Kasam unki jo hame Aazmaye baite he,paas he dil ke par dur jakar baite he,nazro se nazre mile to baat ho,mushkil to ye hai ki woh nazrein jhukaye baite he.
Is Kadar na har baat yaron se pucho, jo baat raaz ki ho woh isharo se pucho... Lehro se khelna to samandar ka shouk hai, lagti hai chot kaise yeh kinaro se pucho…
Bahon main lelo muj ko k tanha hon main... Dharkan main basalo muj ko k Tanha hon main... Tum nahi to jahan main kuch b nahi... Muj main samaa jao k tanha hoon main........
Khab adhure sahi khab tumhare to hain.. Khab jhoote sahi khab sahare to hain.. Jaise taise kat jaye gi zindagi.. Tum humare na sahi hum tumhare to hain......