Saanse zarurat hoti hai,ye tham bhi jaye to itna dard na hoga,jitna ki aapke ruthne ya chale jane ke baad hoga..kyunki.. hamari saanse to aapki rooh se bandhi hai
Khuda tumhe har dukh se door rakhe teri palkon se har hanju door rakhe hamari yahi guzarish hai unse ke jitna bhi ho hamare darmiyaan faasla vo apne dil se na hamein kabhi door rakhe
Aap ko dekh kar ye nigah jhuk jayegi, khamoshi ab har baat keh jayegi, padh lo in aankhon mein apni dastan, aapki kasam sari kaaynaat wahi tham jayegi.
Kitni mohbhat hai tumse humse bataya na gaya, shyad tum samaj n sake ya humi se samjaya n gaya. Tumne Karib aane ki koshish na ki aur humse haath badhaya na gaya.
Kya zamana tha hum roz mila karte the Raat bhar chand ke hamrah chala karte the Dekh ke jo hame chup chap guzar jata hai Kabhi is saksh se hum pyar kiya karte the.
Tanhaiyo ke saher me 1 ghar bana liya Ruswaiyo ko apna mukadder bana liya dekha he yaha patthar ko pujte hain log bas isliye apne dil ko patthar bana liya.!
jo kuch bhi mila hai usi mein khush hu mein tere liye khuda se taqrar nahi karta, par kuch to baat hai teri fitrat mein zalim warna tujhe chahne ki khata baar baar nahi karta