Is kadar humari chahat ka imtihaan mat lijiye, Kyu ho khafa ye bayan to kijiye, Kar dijiye maaf agar ho gayi hai koi khata, Yu yaad na kar ke saza to na dijiye
Banane ko to jahan bhi bana leta hu,Ek uski justju hai jo khud ko bhula deta hu,Wo aayenge nahi ye yakin ho chala hai,Ek aur mukaddar is diye sa jala hai,Phir bhi unke laut aane ka imkan baaki hai,Dil me ummid aur thodi si jaan baaki hai.
Khuda jaane pyar ka dastur kya hota hai, jinhe Apna banaya wo dur hota hai, kehte hain ke milte nahi Zamin Aasman, fir kyun Aasman Zamin par Fida hota hai.?.
Tamanna hai khushion ki bahar mile aapko, jo dil chahe wo baar - baar mile aapko, sab aksar pa kar kho dete hain, magar kabhi na khone wala pyaar mile aapko.