Benam sa yeh dard thahar kyun nahi jata,Jo dur hai dil se utar kyun nahi jata,Ek chehra jo barso se hai ajnabi,woh khwab hai toh phir bikhar kyun nahi jata.
Nikalte hai ansu jab mulakat nahi hoti, tut jata hai dil jab bat nahi hoti, apki jaan ki kasam jab aap na yaad aye, esi koi subha esi koi raat nahi hoti.
Dilse tera khayal na jaye to kya karu, tu hi bata tu yaad aaye to kya karu, hasrat ye hai ki ek nazar tujhe dekh lu, magar kismat wo lamha na laye to kya karu