Tumhe khwaab kahoon to bikhar jaaoge tumhe dil kahoon to toot jaaoge lo tumhara naam zindagi rakh diya, kam se kam maut ke pahele chhodkar to nahi jaaoge
Patthar bana diya mujhe rone nahi diya.. Daman bhi uske gum na bhigone nahi diya.. Kuch yun tha ehsas uska sang mere ki... Ek pal ko bhi mujhe usse juda hone nahi diya…
Meri duaon mai shamil hai aap is tarah,pholon mai hoti hai khushbo jis tarah,khuda aapki zindagi mai itni khushiyan de,dharti pe hoti hai barsaat jis tarah.
Toote dil ko dobara lagana hamein accha nahin lagta Kissi ko palkoan pe bitha kar girana hamein accha nahin lagta Ek baar keh diya ki hum to sirf aapke hai lekin Baar baar humko yeh batana accha nahin lagta
Tanhai Me Har Pal Tujhe Yaad Karta Hoon,Akele Mein Har Roz Roya Karai Hoon,Tujhe Kya Maloom Aye Bewafa,Tujhe Mujhse Bhi Achaa Saathi Mile,Aise Har Roz Dua Karta Hoon
Yeh Dil Ka Zakhm Tumney Diya Hai Tou Koi Baat Nahin Yeh Jigar Ka Dard Agar Tumney Diya Hai Tou Koi Baat Nahin Majaal Kiski Thi Ki Kehta Mujhey Deewana Magar Yeh Tumney Kaha Hai Tou Koi Baat Nahin......