Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.
Ishq hona bhi muqadar ki baat hoti hai, Mehboob ke bina zindagi tanhaai mein roti hai, Jeene lagte hein hum chori chori is jahaan mein, Unki chaahat hi is dard-e-dil ki dawa hoti hai