KANCH ko chahat thi PATHER pane ki,Ek pal mein TUT k bikhar jane ki,chahat bas itni thi us DIWANE ki,apne hazar tukdo mein uski hazar tasvirein sajane ki.
Aap Har Manzil Ko Mushkil Samjhate Hai, Hum Har Mushkil Ko Manzil Samjhate Hai, Bada Fark Hai Aapke Or Humare Nazriye Mein, Aap Dil Ko Dard Or Hum Dard Ko Dil Samjhate Hai.
Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.
Ga saku apka nagma woh saaz kaha se lao, suna saku kuch apko woh andaz kaha se lao.u to chand ki tarif karna asaan hai,kar saku apki tarif woh alfaz kaha se lao
Jo tune diya use har pal yaad karenge, Har pal tere milne ki Faryaad karenge . Chale aana jab kabhi khayal aaye MERA, Hum roz khuda se pehle tujhe yaad karenge.