Logoon nay apna hunar dekhaya bhee bohat hai Ja ja kar main nay manaya bhee bohat hai Sach pochoo too piyara bhee bohat lagta hai dil ko Wo shks jis nay dil ko dukhaya bhee bohat hai
wo hamare hi samne mehfil me aakar baithe hai,hatho me hamara dil chupakar baithe hai,jab humne pucha ki kya hai in haatho me,to bahana bana diya mehandi lagaye baithe hai....
Nigaho me aur koi pyaar ke kabil na raha,is kinare ka aur koi sahil na raha,chand jaisa yaar mila hume zameen par,asman ka chand bhi ab didar ke kabil na raha