Chup rehne se baat nahi banti.. Dil ki baat dil main dabane se baat nahi banti.. Maana ke pyar ka Izhar karna Mushkil hai Mughal.. Magar dil ke armaan chupane se baat nahi banti.......
Pucho na us kagaz se jis pe hum dil ke bayan likhte hai.Tanhayi me beeti baate tamam likhte hai.Woh Kalam bhi diwani ho gayi jis se hum AAP ka Naam likhte hai
Dekho koi wada na karo bhool jao gay, Meri yaad zyada na karo bhool jao gay, Main aaun to ker lena gilay shikway saray, Abhi se irada na karo bhool jao gay
Bahut tamana thi kisi ko apna banane ki, Bahut tamana thi kisi ka ho jane ki, Pr kya pta tha jis ke hum hona chahte he, Unhe adat hi nhi kisi ko apna bnane ki.
Wo ruthe is kadar ki manaya na gaya, Durr itne ho gaye ki pass bulaya na gaya, Dil to dil tha samundar ka sahil nahi, Likh diya naam to fir mitaya na gaya.