Khab adhure sahi khab tumhare to hain.. Khab jhoote sahi khab sahare to hain.. Jaise taise kat jaye gi zindagi.. Tum humare na sahi hum tumhare to hain......
phir din dhal gaya,fir raat aa gayi ,fir tanhai me baithne ki baat aa gai,abhi to taron ki panah me beithe hi the ,chand ko dekha to un ki yaad aa gai.
mita denge yeh duri, yeh fasle sabhi! kahogi ek baar ki milo aa ke kabhi! na honge door phir tum se is zindagi main! khula rakho tum dar apna, hum atay hain abhi!
Jab Paas Ho To Rukh Se .. Nigahein Na Morna .... Jab Dur Ho To Mera .. Tasavvur Na chorna .. Aye Dost ..!! Dil Lagane Se Pehle Ye Sonch Le . Mushkil Bahut Hai .. Rishtoon Ki zanjeerain hain Torna ..
Nakaam si koshish kiya karte hain, Hum hain ki unse pyar kiya karte hain, Khuda ne takdir me ek tuta tara nahi likha, Aur hum hain ki chaand ki aarzu kiya karte hain
Dilme chahat ka diya jalakar chup gaya koi,Mujhe apna diwana bana kar chup gaya koi,yeh dard kya hota hai malum na tha hume,Dardka rasta dikha kar chup gaya koi