Juban ko bolne na de aur kayi kaam hai uske,Bhulkar sare jahan ko najar-najar milayein hum,Ek pal wo bhi aaye ki,khud ka khud pata na ho,Jannat ka aashiyan bana pahlu mein bikhar jayein hum.
Suna hai log unhe aank bhar ke dekhte hain.. Unke sehar me kuch din tehar ke dekhte hain.. Suna hain din ko unhe titliyan satati hain.. Raat ko jugnu tehar ke dehkte hai.. Agar aisi baat hai to chalo baat kar ke dekhte hai......