Yad Kisi Ko Karna Ye Baat Nahi Jatane Ki.Dil Par Chot Dena Adat Hai Zamane Ki.Ham Aapko Bilkul Yaad Nahi Karte.Kyunki Yaad Karna To Ek Nishani Hai Bhool Janeki.
Kisi khas ko nazar andaj kiya nai jata jinhe bhul nai sakte unhe yad kiya nai jata. Ye yaden to sahil hai un lamho ka jin lamho ko dobara jiya nai jata..
Main Lafzon se kuch bhi izhaar nahi karta, iska matlab ye nahin k main tujhe pyar nahi karta chata hun tumhe aaj bhi par teri soch mein apna waqt bekar nahi karta, tamasha na ban jaye kahin mohobat mein mera islye apne dard ko bayan nahi karta
nazar kuch zuban kuch hont kuch keh jatye hein ham unhein apna aur wo hamein ajnabi kah jatye hein kabi to sonno mere seenay mein chuppi us awaz ko ham jise aap, aur aap deerye se darkan kah jatye hein
anjam janata tha magar is dil ko samazana saka janata tha inkaar karoge, magar ikaraar kiye bina rah na saka door hokar tumse ji na sakoonga phirabhi apne jasbaato ko tumhe kabhi samjha na saka
Lab khamosh hain aankhon se baat hoti hai Aise hi mohabbat ki shuruwat hoti hai Tere hi khayalon me khoye rehte hai hum Pata nahi kab din kab raat hoti hai
Kabhi Kabhi Mohabbat Mein Judaai Bhi Aati Hai, Par Judaai Pyaar Ko Aur Bhi Gehra Bana Deti Hai, Do Pal Ki Judaai Mein Aansoo Na Bahaa Aye Dost, Judaai Ki Tadap Pyaar Ko Aur Pyaara Bana Deti Hai....