Koi gila, koi shikwa na rahe aapse, yeh aarzoo hai ki silsila rahe aapse, bas is baat ki badi umeed hai aapse, khafa na hona agar hum khafa rehein aapse
Betaab tamanao ki kasak rehti hai,manzil ko paane ki tadap rehti hai,hum zaroor nazron se dur ho,par hamari band aankhon me dost aapki jhalak rehti hai..
JINDA HAI SAHAJAHAN KI CHAHAT AB TAK, GAWAH HAI MUMTAZ KI ULFAT AB TAK, EK BAAR DEKHO US TAAJMAHAL KO, AE DOST PATTHARO SE TAPAKTI HAI MOHABBAT AB TAK.
Teri Yaadon ke Siva koi Lamha Guzaara Nahin,,,,, ek pal Nahin jab TumheMere Dil Ne Pukaara Nahin Tere bin Youn Kat Rahi Dariya-e-Zindagi Mein,,,, Kashti Bhi Hai Maajhi bhi hai,Kinaara Nahin…..
Main uska hoon vo is ahsaas se inkar karta hai, bhari mahfil me bhi ruswa mujhe har baar karta hai, yakin hai sari duniya ko khafa hai humse vo lekin, mujhe maloom hai phir bhi mujhise pyar karta hai
'Chot lagi dil par aur bikhar gaye hum, haath mein aaya jaam aur pee gaye hum, yaad aaya unka har wo toda vaada, aur unki har yaad mein fanaa ho gaye hum'
Roj hi tum mere khwabo me aate ho.. Kya ab bhi hume yaad karke muskurate ho.. Janta hu tum sath nahi ho humare.. To phir kyu apne hone ka ehsas dilate ho..