Ek na ek shamma andhere mein jalaye rakhiye, Subha hone ko hai mauhol banaye rakhiye, Kaun jane wo kis gali se guzre, Har gali ko phoolo se sajaye rakhiye!
Ye Dil Tere Liye Beqarar Aaj Bhi Hai Meri Aankh Ko Tera Intizar Aaj Bhi Hai Tu Aaye Gi Ye Umeed Hai Mujhe Tujh Ko Pane Ke Liye Tera Deewana Aaj Bhi Hai
Bata e ajnabi tera kya naam rakhun, Khawab rakhun to adhura reh jayega, Dil kahun to toot jayega Aa tera naam zindagi rakh doon, Maut tak to tera saath rahega
Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Banker Chand Nikla Hai Teri Aankh K Ansoo Ki Tarah Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Banker.
Har ghadi intezaar mein gujri,baato ke baad aapki yaadon mein gujri,hum to ek phool the, aap rakh ke bhule gaye,phir tamam umar aapki kitaab mein gujri.
Aina dekhte howe jab bhi khayal me.main chup raha to aap ki tasvr,bol uthhe.Be kar hai talab,jo khuluse talab na ho.uthe dua ko hath to tasir,bol uthhi.