Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.
kabhi tum bhi humse baat kar liya karo milne ki fariyad kar liya karo ek hum hai jo har baar shuruwat karte hai kabhi tum bhi hume humse pehle yaad kar liya karo
Aaj kuch khas baat to jaroor hai ...... jo aap itne madhosh huwe ja rahe hain..... kahin ye bin piye jaam ka nasha to nahin.. jo aap itne Ashiq mizaz huwe ja rahe hain
Bata e ajnabi tera kya naam rakhun, Khawab rakhun to adhura reh jayega, Dil kahun to toot jayega Aa tera naam zindagi rakh doon, Maut tak to tera saath rahega
Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,sachi chahat to sada bezuban hoti hai.pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai....