Jis shaam mein mere lab per aapka naam na aaye, Khuda kare ki kabhi aisi shaam na aaye, Ae jaane wafa yeh kabhi mumkin nahin ki, Afsaana likhoon aur aapka naam na aay
Wo dil,dil nahin hota,jis mein pyar nahin hota, Wo pyar,pyar nahin hota,jo chahat mein bekarar nahin hota Thoda tadapna.thoda machalna,tou hai mohabbat ki ada, Jo in raahon se na guzre, wo yaar,yaar nahin hota.
Khuda jaane pyar ka dastur kya hota hai, jinhe Apna banaya wo dur hota hai, kehte hain ke milte nahi Zamin Aasman, fir kyun Aasman Zamin par Fida hota hai.?.
tere husn ko shabdon mein kaid kar raha hoon jo rahe nakaam woh koshish kar raha hoon, amber pe hain lakhon tare chamakte ek ko is zameen par chamkane ki koshish kar raha hoon
Dekho koi wada na karo bhool jao gay, Meri yaad zyada na karo bhool jao gay, Main aaun to ker lena gilay shikway saray, Abhi se irada na karo bhool jao gay