Yeh din yeh raat yeh lamhay achay say lagtay hain.. Tumhain sochoon to saaray silsilay achay say lagtay hain… Bohat door tak chalna or phir bhi waheen rehna.. Humain tum say tum hi tak k Da-ayray achay say lagtay hain..
Yaado ko teri humne khone na diya, gumo ne bhi chup hone na diya. aankhe to aaj bhi bhar aayi teri yaad me, par teri di hui kasam ne hume rone na diya.!
Pucho na us kagaz se jis pe hum dil ke bayan likhte hai.Tanhayi me beeti baate tamam likhte hai.Woh Kalam bhi diwani ho gayi jis se hum AAP ka Naam likhte hai
Jab bhi tanhayi se ghabra k simat jate hai hum teri yaadon k daman se lipat jate hai zuban se keh nahi sakte hum tumhe kitna pyar karte hai nikal padte hai aansu jab tumhe yaad karte hai!.