Door tumse tab bhi na the,door tumse ab bhi nahin.Kuch faasle aa gaye hamare beech,par dil se door tum ek pal bhi nahin.Kabhi dil se dil ko yaad karke to dekh,yeh dooriyaan kuch bhi nahin
Tanhayi ki ye kuch aisi ajab raat hai,Tujhse judi huyi har yaad mere saath hai,Kis kadar ki thi mohabat humne tumse,Soch kar huyi aaj ashqon se mulaqat hai.
Gila nahi jo naseebo ne kar dia juda, teri judai bhi ab hume pyar karti hai, Kinare baith k jiske kiye the dil ne karaar,nadi wo bhi ab tera intezar karti hai
Beetay pal Wapas la nahi Sakte Sukhe phool Wapas Khila nahi sakte Kabhi kabhi Lagta ha iAap hamein Bhul Gayepar dil Kehta hai k aap Hamein Bhula nai Sakte.
Pyasi nigaho ne har pal unka deedar maanga, Jaise amavas ne har raat chand maanga. Ruth gaya woh Khuda bhi humse, Jab humne apni har duwa mein unka saath maanga