Wo na Aye unki yad akar wafa karGai Unse milne ki tamanna Sukun tabah karGai Ahat hui socha asar Dua kar Gai Darvaja khola to dekha mazak Humse hawa kar gayi
Patthar bana diya mujhe rone nahi diya.. Daman bhi uske gum na bhigone nahi diya.. Kuch yun tha ehsas uska sang mere ki... Ek pal ko bhi mujhe usse juda hone nahi diya…
Talash karo koi tumhe mil jayega, Magar hamari tarah tumhe kaun chahega. Zarur koi chahat ki nazar se tumhe dekhega, Magar aakhein hamari kaha se layega.
Ab kya kahe ki unse mohabat na rahi,Ya ye ki unko humari jarurat na rahi,Unko bhi wada karke bhulane ka shauk hai,Aur humko bhi ab intejar ki aadat na rahi.
Ashkon ko humne kayi baar roka,phir bhi na jane kyon ankhen dhoka de gayi,bharosa to tha hame iN apne aap par magar,unka zikr aate hi naa jane kyon palken nam ho gayi