Hasa kar kisi din rula mat dena,khas bana kar kabhi gair bana mat dena mana ki roz apse hum milte nahi isi baat ka bahana bana kar kisi din bhula mat dena.
Na khawabo mai dekha, na nazaro mai dekha, Hazaro mai humne ek tumhi ko dekha Gum dene wale to hal pal hai yaha, Har pal khushi dene walo mai ek aapko hi dekha.
Gila rahe humse shikwa rahe humse, aarzoo hai bas yehi ek silsila rahe humse. Fasle ho darmiya, ya khata ho koi humse, dua hai bas yehi nazdikiya rahe humse....