Koi Milta Hi Nahi Humse Humara Ban Kar,Wo Mile Bhi To Ek Kinara Ban Kar,Har Khwab Kaanch Ki Tarah Tuta he hamara,Ek Yakin He Hai Mere Sath Sahara Ban Kar.
Talash karo koi tumhe mil jayega, Magar hamari tarah tumhe kaun chahega. Zarur koi chahat ki nazar se tumhe dekhega, Magar aakhein hamari kaha se layega.
Tumhari yaadon ko rok pana hai mushkil, rote huae dil ko manana hai mushkil, yeh dil aapko kitna yaad karta hai, ye labzo se bayan karna he namunkin...
Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.