Falak ko zid hai bijliya girane ki. hume b zid hai wahi aashiyan banane ki,aapko hai zid gar hume bhulane ki, to hume b zid hai aapko apni yaad dilane ki.
Humein kya pata tha unka andaaz-e-byan itna haseen hoga Un ka aana paas hamare itna afreen hoga Yoon hi unse dil laga maikhaane mein shareek ho bethe they Humein kya pata tha vahan un ka mehfil-e-deedar hoga
taqdeer thi aisi ke kabhi khush na rahsake sab kuchh diya khuda ne magar ham na sah sake chahat hamari phool thi ek vo hi na mila ghar me dher motiyon ka chaha na jo kabhi
Khuda se thoda reham khareed lete, aapke zakhmon ka marham khareed lete, agar kahin bikti khusiyan meri, to saari bech kar aapka har gum khareed lete Phool
Na tasveer hai uski jo didar kiya jaye, na vo hai pass jo pyar kiya jaye, ye kaisa dard diya hai us bedard ne, na usse kuch kaha jaye na us bin raha jaye