Kashish honi chahiye kisi ko yad karne ki, Lamhe to apne aap mil jate hain. Waqt hona chahiye kisi k saath gujarane k liye, Bahane to apne aap mil jate hain !
Kajal bankar teri ankhon mei samane ki tamanna haiDawa banke tere dard mitane ki tamanna haiYun to hasil hai zamane ki her cheez mujhe Sirf ek baar tujhe dulhan ke roop mei pane ki tamanna hai.
Intejaar ka meetha darad diya hai tumne, Mujh par bada ehsan kiya hai tumne, Kambakth aaj kal hichkiyan bhi nahi aati, Jo soochoon ke abhi mujhe yaad Kiya hai tumne
Jab bhi tanhayi se ghabra k simat jate hai hum teri yaadon k daman se lipat jate hai zuban se keh nahi sakte hum tumhe kitna pyar karte hai nikal padte hai aansu jab tumhe yaad karte hai!.
Ek muddat se jo khawab ban kar nazar me raha rooh ban kar vo mere badan me raha fana ho kar jise chaha tha dhadkano ne meri kareeb aa kar vo shask ajnabi sa raha