Na khawabo mai dekha, na nazaro mai dekha, Hazaro mai humne ek tumhi ko dekha Gum dene wale to hal pal hai yaha, Har pal khushi dene walo mai ek aapko hi dekha.
Hazaro ki ginti to hame nahi aati,par khayal kuch aisa hai,ke ret ka har zarra agar nayab hira ban jaye,to tohfe me aapko registan dene ki khwaish rakhte hai.
Haqeeqat karo byaan to mazaak lagta hai, ibadat karo jab to jhootha khwab lagta hai, Are ye dil hai dil, aur dil ki hai ye sdaa, aur tum kehte ho ki tumhe ye haseen ittfak lagta hai
Ab kya kahe ki unse mohabat na rahi,Ya ye ki unko humari jarurat na rahi,Unko bhi wada karke bhulane ka shauk hai,Aur humko bhi ab intejar ki aadat na rahi.
Dekho phir raat aa gayi, Tanhaiyon mein waqt bitane ki baat aa gayi, Hum to yun hi baithe the Sitaron ki panah mein, Chaand ko dekha to aap ki yaad aa gayi.