Jo dil me hai aankho k hawale nahi karna, Khud ko kabhi khwabo k hawale nahi karna. Is umar me khush fehmiya achi nahi hoti, Is umar ko wado k hawale nahi karna
Raat chirago se saja rakhi hai, Shart aaj apne app se laga rkhi hai... aayenge wohh aj hume pura yakin h, isilye aj kayamat se bhi thodi mohlat mang rkhi hai
Kabhi Kabhi Mohabbat Mein Judaai Bhi Aati Hai, Par Judaai Pyaar Ko Aur Bhi Gehra Bana Deti Hai, Do Pal Ki Judaai Mein Aansoo Na Bahaa Aye Dost, Judaai Ki Tadap Pyaar Ko Aur Pyaara Bana Deti Hai....
Ga saku nagma,wo saaz kaha se lau, Suna saku kuch aapko wo andaz kaha se lau, Yu to chand ki tarif karna aasan hai, Kar saku aapki tarif wo alfaj kaha se lau,
Kuch rahe na rahe, teri mohabbat ka sahara rahe Pyar main dooba, hamesha ye dil hamara rahe Khushian teri, sare ghum mere hon dua yehi hai Ankhoon main, sada chehra tumhara rahe