Itna kuch khoya ki hume paana na aaya, Pyar kiya to jatana na aaya. Aa gaye is dil mein pehli hi nazar mein who, Kasoor humara tha jo hume unke dil mein samana na aaya.
Hasa kar kisi din rula mat dena,khas bana kar kabhi gair bana mat dena mana ki roz apse hum milte nahi isi baat ka bahana bana kar kisi din bhula mat dena.
Wo kahakar chal diye itni mulakat bahut hai,Hamne kaha ruk jao abhi raat bahut hai,Tham jaye mere ansu to shauk se jana,Aise me kaha jaoge barsaat bahut hai
Kisi ko kisi ke dil se nikala nahi jata, Paas bula ke phir dur bhagaya nahi jata,kyun samjte nahi hai ye log ki Pyar ek ehsas hai jo dil se hataya nahi jata.